Hai teri wafaon ki ajab Ghazi(as) kahani
Page 1 of 1
Hai teri wafaon ki ajab Ghazi(as) kahani
Hai teri wafao ki ajab Ghazi kahani
Bachpan pe Sakina ke fida kardi jawani
Tu Fatima Zahra ki duaon ka sila hai
Abbas tera naam hee Zainab ki rida hai
Ab tak tera mamnoon hai Islam ka Baani
Zahra ki lehad kaanpi Haider ne Najaf chora
Ro ro kay yeh Shah bolay meri qamar ko bhi tora
Jab khoonn mein tarr dekhi (haye) Ghazi ki peshani
Ronay k liye Maula kya baat yeh kam hai
Itna tujhe Masoomoun ki haye pyaas ka ghum hai
Darya pe kia qabza piya phir bhi na paani
Ab kon bachayega mere sarr ki rida Ghazi
Kis tarhan se ab jaongi mai sham bata Ghazi
Sarr peet ke kehti thi (haye) yeh Zahra e Saani

Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum